chalo musafir, udas shamon ki rahguzar mein
sitare, DhunDen
chhalakti aankhon mein zindagi ke jo bach gae hain wo KHwab DhunDen
bhaTakti galiyon mein aablon ke gulab dekhen
pahaD sochon mein sabz rangon ke KHwab dekhen
chalo musafir
nishan-e-manzil jo KHwab sa hai, jo aarzuon ka hadsa hai
usi ke raste mein kahkashaen bikher den hum
baqa ke raste mein KHema-zan hain, KHata ke lashkar, fana ke lashkar
chalo musafir fana ke ghar se
baqa ki manzil uTha ke laenge
hikayaton mein haqiqaton ka mizaj bhar den
kisi ke ghar mein
andhere ghar mein
charagh rakh den
chhalakti aankhon mein KHwab rakh den
Nazm
Chalo musafir
KHalid Malik u0027Sahilu0027