koyal
mere shabdon ko tu chhape-KHane le ja
wo aKHbar to paDhte honge
paDh ke KHabar mere marne ki
dauDe dauDe ghar aaenge
Dakiye
tu chiTThi ke bajae aam meri bagiya ke ab ki
un ke daftar le ja
sab se chhupa ke aam wo mere
hathon mein bhar lenge
phir kurte ke niche, pichhe, sine ke jangal mein un ko dubka lenge
sukhi hawao!
ab ki jab tum un ke suhane ghar se guzro
Tesu ke kuchh phul mahakte
un ki khiDki pe rakh aana
raat gae jab aankh mein un ki
mere badan ke phul jalenge
ThanDe badan pe aag malenge
jaldi jaldi khiDki tak pahunchenge
un pe jalte honTon ka ek chumban!
chait mahine wala chumban mahka denge!!
Nazm
Chait
Salahuddin Parvez