main abhi chhoTa tha
kisi ne mere hath mein chaqu thama diya
main ne apni umr ki lakir ko
chhe jagah se kaT Dala
aur mohabbat ki lakir
chaqu ki nok se khurach di
chaqu ka dasta mujhe kuchh be-hangam sa mahsus hua
use main ne
hathauDe ki zarb se
chaqu se alahida kar diya
zara si dhaar lagane ke baad
ab use donon taraf se istimal kiya ja sakta tha
mujhe yaad nahin
main ne use kitni jagah istimal kiya hoga
albatta us se meri hatheliyon par
kai be si lakiren paD gain
aur ek hath ki tamam ungliyan
talaf ho gain
hatheli ki be-zarurat lakiron ne
meri baad ki zindagi mein
kai mushkilat paida kin
sab se baDi mushkil
to KHud ye chaqu tha
jo apni do tarfa dhaar se
mujhe zaKHmi kar raha tha
ek mushkil aur hai
aisa hi ek chaqu
ek din aaine mein mere aks ko
do masawi TukDon mein taqsim kar gaya
aur main Thik se ye bhi na dekh saka
ki us ka dasta kis ke hath mein tha

Nazm
Chaqu ka dasta
Saeeduddin