gae baras ki id ka din kya achchha tha 
chand ko dekh ke us ka chehra dekha tha 
faza mein 'keats' ke lahje ki narmahaT thi 
mausam apne rang mein 'faiz' ka misra tha 
dua ke be-awaz uluhi lamhon mein 
wo lamha bhi kitna dilkash lamha tha 
hath uTha kar jab aaankhon hi aaankhon mein 
us ne mujh ko apne rab se manga tha 
phir mere chehre ko hathon mein le kar 
kitne pyar se mera matha chuma tha! 
hawa! kuchh aaj ki shab ka bhi ahwal suna 
kya wo apni chhat par aaj akela tha? 
ya koi mere jaisi sath thi aur us ne 
chand ko dekh ke us ka chehra dekha tha?
        Nazm
Chand raat
Parveen Shakir

