hum unhen palte hain
apne bachchon ki tarah
apna KHun pila kar
apne hisse ka rizq khila kar
unhen sair karaate hain
mele Thele aur bazaron ki
apni ungli thama kar
kabhi unhen
zarq-barq libas pahna kar
chhoD dete hain ghane jangal mein
be-tahasha raqs karne ke liye
kabhi kahte hain
nadi ke kinare phislan bhari Dhalan par
dauD kar titliyan pakaDne ko
aur qahqahe lagate hain
un ke gir jaane par
kabhi unhen kahte hain
chand ki banjar zamin par
gulab ki kasht karne ke liye
aur phir sogwar hone ka Dhong karte hain
un ki mahrumiyon par
aur jab ukta jate hain
is khel se
barf ke safed kafan mein lapeT kar
raat ke haibatnak andhiyare ki qabr mein
sula dete hain apni KHwahishon ko
hamesha ke liye
aur latife sunane lagte hain
doston ko
Nazm
Catharsis
Nomaan Shauque