pipe ke gahre lambe kash khinchta
wo apni barahnagi ke ehsas ko
dhuwen ki shakl mein
KHala mein tahlil hote dekh kar
muskurane ki koshish karta tha
us ki naf ke aas-pas
chipke hue
shikasta andhere ke chhoTe chhoTe TukDe
meinDak ki aaankhon mein
mare hue KHwabon ki silan mein
Dub rahe the
wo
mujh ko
gautam ke nam se yaad kiya jae
aisa
diwaron par rengti
chiyunTiyon se
bar bar kah raha tha
Nazm
Budh
Adil Mansuri