waqt ko aate na jate na guzarte dekha
na utarte hue dekha kabhi ilham ki surat
jama hote hue ek jagah magar dekha hai
shayad aaya tha wo KHwabon se dabe panw hi
aur jab aaya KHayalon ko bhi ehsas na tha
aankh ka rang tulua hote hue dekha jis din
main ne chuma tha magar waqt ko pahchana na tha
chand tutlae hue bolon mein aahaT bhi suni
dudh ka dant gira tha to wahan bhi dekha
boski beTi meri chikni si resham ki Dali
lipTi-lipTai hui reshmi tangon mein paDi thi
mujh ko ehsas nahin tha ki wahan waqt paDa hai
palna khol ke jab main ne utara tha use bistar par
lori ke bolon se ek bar chhua tha us ko
baDhte naKHunon mein har bar tarasha bhi tha
chuDiyan chaDhti utarti thin kalai pe musalsal
aur hathon se utarti kabhi chaDhti thin kitaben
mujh ko malum nahin tha ki wahan waqt likha hai
waqt ko aate na jate na guzarte dekha
jama hote hue dekha magar us ko main ne
is baras boski aThaarah baras ki hogi
Nazm
Boski
Gulzar