tumhaare lahje mein jo garmi o halawat hai
use bhala sa koi nam do wafa ki jagah
ghanim-e-nur ka hamla kaho andheron par
dayar-e-dard mein aamad kaho masiha ki
rawan-dawan hue KHushbu ke qafile har-su
KHala-e-subh mein gunji sahar ki shahnai
ye ek kohra sa, ye dhund si jo chhai hai
is iltihab mein, is surmagin ujale mein
siwa tumhaare mujhe kuchh nazar nahin aata
hayat nam hai yaadon ka, talKH aur shirin
bhala kisi ne kabhi rang o bu ko pakDa hai
shafaq ko qaid mein rakkha saba ko band kiya
har ek lamha gurezan hai, jaise dushman hai
na tum milogi na main, hum bhi donon lamhe hain
wo lamhe ja ke jo wapas kabhi nahin aate!
Nazm
Bint-e-lamhat
Akhtar-ul-Iman