aur jab wo chali
log bole ki jhalli hai pagal hai meintal hai ye
aur us ne suna to hansi
ungliyon se wo diwar par
do lakiren banati chali hi gain
lakiren jo diwar par chand lafzon ke
mauhum se fasle se
ikaTThi chali ja rahi thin
dama-dam rawan be ruke aage
aage hi aage
na milne ki KHatir
ki milna hai to harf-e-aKHir nahin
Nazm
Bil-aKHir
Nasreen Anjum Bhatti