shadi ke baad ghar mein jab aati hain biwiyan
sharm-o-haya ka Dhong rachati hain biwiyan
pahle to shauharon ko paTati hain biwiyan
tiguni ka nach phir ye nachati hain biwiyan
har shab shab-baraat banati hain biwiyan
kuchh din ke baad chhakke chhuDati hain biwiyan
pahle-pahal to kahti hain tum ho mere balam
tum mil gae to ho gae duniya ke dur gham
tum par hazar jaan se qurban main sanam
kuchh din ke baad kahti hain shauhar ko phir KHasm
pahle to KHub sar pe chaDati hain biwiyan
qadmon mein is ke baad giraati hain biwiyan
kha kha ke gosht weight na apna baDhaiye
jo main bana rahi hun wo chup-chap khaiye
is waqt ghar mein aaiye us waqt jaiye
jaana kahan hai jaane se pahle bataiye
is tarah control mein lati hain biwiyan
hakim ko bhi ghulam banati hain biwiyan
wo santari ho koi ki ho koi mantari
hota hai hawi sab pe hi ehsas-e-kamtari
kaisa bhi sher-dil ho bahadur ho ya jari
rahti hai jin ke KHauf se duniya Dari Dari
aise bahaduron ko dabaati hain biwiyan
phir ungliyon pe un ko nachati hain biwiyan
bachchon ki baat chhoDiye begam ka hai ye haal
ghusse mein yun samajhiye ki har shai pe hai zawal
samjhae kaun aise mein kis ki hai ye majal
is shor-o-ghul mein shaeri karna bhi hai muhaal
qainchi-sifat zaban chalati hain biwiyan
Tar-Tar se phir dimagh dukhati hain biwiyan
sasural mein ho shadi to KHarcha ho kam janab
maike mein hai to KHarch ye karti hain be-hisab
wo sas ya sasur hon ki dewar ho sab KHarab
aaya hua hai maike se kutta bhi la-jawab
kuchh is tarah dimagh pe chhati hain biwiyan
shauhar ke rishte-dar chhuDati hain biwiyan
Nazm
Biwiyan
Nashtar Amrohvi