bij andar hai
lekin main bahar hun
apni zamin se
faqat musht do musht upar
KHala mein uga hun
meri koi jaD hi nahin hai
nahin ilm
talif ki raushni ne
hawa aur pani ne kis tarah sincha
nami kaise mere masamon mein aai
judai
sahi main ne kaise
muqarrar jo azalon se tha
bich ka fasla
wast na wast ka marhala
main ne kaise gawara kiya
aasman ke tale
main ne dharti pe phaile hue
ek sondhi si KHushbu mein lipTe hue
lahlahate jahanon ka
KHushk aur banjar zamanon ka
kaise nazara kiya
chand kanTon ki sui se
kaunain ke
apne qutbain ke
pech-o-KHam mein
wajud-o-adam mein
jali aur KHafi sare abaad ki samt
kaise ishaara kiya
main ne kaise ba-yak waqt
apni fana aur baqa se kinara kiya
bij andar hai
kaise samajh paega
be-numu o numu-kar duniya mein
mujh jaise paude ne
kaise guzara kiya
Nazm
Bij andar hai
Rafiq Sandelvi