اردو हिंदी
Bhut | Shaahi Shayari
bhut

Nazm

Bhut

Krishna Mohan

;

gham-zada raat ki tanhai mein
ye udas aur fasurda bargad

mujh ko ek bhut nazar aata hai
us ki shaKHen ye chamakte KHanjar

der se mere lahu ke pyase
dafatan meri taraf baDhte hain

aaj ki raat na bach paunga
dam-ba-KHud soya bhi hun jaga bhi

koi patta jo khaDak jata hai
dil-e-be-tab dhaDak jata hai