aankh khul gai meri
ho gaya main phir zinda
peT ke andheron se
zehn ke dhundalkon tak
ek sanp ke jaisa
rengta KHayal aaya
aaj tisra din haiâ¦â¦ aaj tisra din hai
ek ajib KHamoshi
munjamid hai kamre mein
ek farsh aur ek chhat
aur chaar diwaren
mujh se be-talluq sab
sab mere tamashai
samne ki khiDki se
tez dhup ki kirnen
aa rahi hain bistar par
chubh rahi hain chehre mein
is qadar nukili hain
jaise rishte-daron ke
tanz meri ghurbat par
aankh khul gai meri
aaj khokhla hun main
sirf KHol baqi hai
aaj mere bistar mein
leTa hai mera Dhancha
apni murda aankhon se
dekhta hai kamre ko
aaj tisra din hai
aaj tisra din hai
dopahar ki garmi mein
be-irada qadmon se
ek saDak pe chalta hun
tang si saDak par hain
donon samt dokanen
KHali KHali aankhon se
har dukan ka taKHta
sirf dekh sakta hun
ab paDha nahin jata
log aate jate hain
pas se guzarte hain
phir bhi kitne dhundle hain
sab hain jaise be-chehra
shor in dukanon ka
rah chalti ek gali
radio ki aawazen
dur ki sadaen hain
aa rahi milon se
jo bhi sun raha hun main
jo bhi dekhta hun main
KHwab jaisa lagta hai
hai bhi aur nahin bhi hai
dopahar ki garmi mein
be-irada qadmon se
ek saDak pe chalta hun
samne ke nukkaD par
nal dikhai deta hai
saKHt kyun hai ye pani
kyun gale mein phansta hai
mere peT mein jaise
ghunsa ek lagta hai
aa raha hai chakkar sa
jism par pasina hai
ab sakat nahin baqi
aaj tisra din hai
aaj tisra din hai
har taraf andhera hai
ghaT par akela hun
siDhiyan hain patthar ki
siDhiyon pe leTa hun
ab main uTh nahin sakta
aasman ko takta hun
aasman ko thaali mein
chand ek roTi hai
jhuk rahi hain ab palken
Dubta hai ye manzar
hai zamin gardish mein
mere ghar mein chulha tha
roz khana pakta tha
roTiyan sunahri hain
garm garm ye khana
khul nahin rahi aankhen
kya main marne wala hun
man ajib thi meri
roz apne hathon se
mujh ko wo khilati thi
kaun sard hathon se
chhu raha hai chehre ko
ek niwala hathi ka
ek niwala ghoDe ka
ek niwala bhaalu ka
maut hai ki be-hoshi
jo bhi ghanimat hai
maut hai ki be-hoshi
jo bhi hai ghanimat hai
aaj tisra din tha aaj tisra din tha
Nazm
Bhuk
Javed Akhtar