kisi mandir ki ghanTi se
Dara sahma hua bhagwan
ek TuTe hue viran ghar mein ja chhupega
aur pujari
KHun mein Dube hue tirshul le kar
dewiyon aur dewtaon ko pukarenge
saliben bhi sabhi KHali milengi
har taraf girja-gharon mein
kyun ki sab masum-tinat log
gali ke moD par suli se laTke
dua-e-maghfirat mein har ghaDi masruf honge
qatilon ke waste
azanon mein
KHuda-e-pak ke har zikr ke badle
shayad kisi qahhaar ya jabbar ki
hamd o sana hogi
hum apni aaqibat ki bhik mangenge
KHuda ke nek bandon se
Nazm
Bhik
Nomaan Shauque