ye andheri raat ye sari faza soi hui
patti patti manzar-e-KHamosh mein khoi hui
maujzan hai bahr-e-zulmat tirgi ka josh hai
sham hi se aaj qindil-e-falak KHamosh hai
chand tare hain bhi to be-nur pathrae hue
jaise basi haar mein hon phul kumhlae hue
khap gaya hai yun ghaTa mein chandni ka saf rang
jis tarah mayusiyon mein dab ke rah jae umang
umDi hai kali ghaTa duniya Dubone ke liye
ya chali hai baal khole ranD rone ke liye
jitni hai gunjaan basti utni hi viran hai
har gali KHamosh hai har rasta sunsan hai
ek makan se bhi makin ki kuchh KHabar milti nahin
chilmanen uThti nahin zanjir-e-dar hilti nahin
so rahe hain mast-o-be-KHud ghar ke kul pir-o-jawan
ho gai hain band husn-o-ishq mein sargoshiyan
han magar ek samt ek goshe mein koi nauhagar
le rahi hai karwaTon par karwaTen dil tham kar
dil sambhalta hi nahin hai sina-e-sad-chaak mein
phul sa chehra aTa hai bewgi ki KHak mein
uD chali hai rang-e-ruKH ban kar hayat-e-mustaar
ho raha hai qalb-e-murda mein jawani ka fishaar
hasraten dam toDti hain yas ki aaghosh mein
saikDon shikwe machalte hain lab-e-KHamosh mein
umr aamada nahin murda-parasti ke liye
bar hai ye zinda mayyat dosh-e-hasti ke liye
chahti hai lakh qabu dil pe pati hi nahin
hae-re zalim jawani bas mein aati hi nahin
tharthara kar girti hai jab sune bistar par nazar
le ke ek karwaT paTak deti hai wo takiya pe sir
jab khanak uThti hain soti laDkiyon ki chuDiyan
aah ban kar uThne lagta hai kaleja se dhuan
ho gai bewa ki KHatir nind bhi jaise haram
muKHtasar sa ahd-e-waslat de gaya soz-e-dawam
dopahar ki chhanw daur-e-shadmani ho gaya
pyas bhi bujhne na pai KHatm pani ho gaya
le rahi hai karwaTon par karwaTen ba-iztirar
aag mein para hai ya bistar pe jism-e-be-qarar
paD gai ek aah kar ke ro ke uTh baiThi kabhi
ungliyon mein le ke zulf-e-KHam-ba-KHam ainThi kabhi
aa ke honTon par kabhi mayus aahen tham gain
aur kabhi suni kalai par nigahen jam gain
itni duniya mein kahin apni jagah pati nahin
yas is had ki ki shauhar ki bhi yaad aati nahin
aa rahe hain yaad paiham sas nandon ke suluk
phaT raha hai gham se sina uTh rahi hai dil mein huk
apni man bahnon ka bhi aankhen churana yaad hai
aisi duniya mein kisi ka chhoD jaana yaad hai
baghban to qabr mein hai kaun ab dekhe bahaar
KHud usi ko tir us ke karne wale hain shikar
jab nazar aata nahin deta koi bekas ka sath
zahr ki shishi ki jaanib KHud-ba-KHud baDhta hai hath
dil taDap kar kah raha hai jald is duniya ko chhoD
chuDiyan toDin to phir zanjir-e-hasti ko bhi toD
dam agar nikla to khoi zindagi mil jaegi
ye nahin to KHair tanha qabr hi mil jaegi
wan tujhe zillat ki nazron se na dekhega koi
chahe hansna chahe rona phir na rokega koi
wan sab ahl-e-dard hain sab sahab-e-insaf hain
rahbar aage ja chuka rahen bhi teri saf hain
dil inhin baaton mein uljha tha ki dam ghabra gaya
hath le kar zahr ki shishi labon tak aa gaya
tilmilati aankh jhapkati jhijakti hanpti
pi gai kul zahr aaKHir thartharaati kanpti
maut ne jhaTka diya kul uzw Dhile ho gae
sans ukhDi, nabz Dubi, honT nile ho gae
aankh jhapki ashk Tapka hichki aai kho gai
maut ki aaghosh mein ek aah bhar kar so gai
aur kar ek aah sulge hind ki rasmon ka dam
ai jawana-marg bewa tujh pe 'kaifi' ka salam
Nazm
Bewa ki KHud-kushi
Kaifi Azmi