sham hoti hai sahar hoti hai ye waqt-e-rawan
jo kabhi sang-e-giran ban ke mere sar pe gira
rah mein aaya kabhi meri himala ban kar
jo kabhi uqda bana aisa ki hal hi na hua
ashk ban kar meri aankhon se kabhi Tapka hai
jo kabhi KHun-e-jigar ban ke mizha par aaya
aaj be-wasta yun guzra chala jata hai
jaise main kashmakash-e-zist mein shamil hi nahin!
Nazm
Be-talluqi
Akhtar-ul-Iman