to
aur ek bar
phir
mera
slection
ho nahin paya
meri
har ek
nakaami pe
rassi muskuraati hai
KHushi se
ainTHti hai
aur
nae bal paDte jate hain
mujhe apna gala ghuTta hua mahsus hota hai
main
apni
chhat se
jab
niche gali mein
jhankta hun
to
ye lagta hai
saDak mujh ko
uchhal kar
khinch le jaegi
apne sang
Dara deta hai ye ehsas
aur
mujh ko pasine se lahu ki gandh aati hai
agar
main dur se bhi
rail ki
aawaz sunta hun
to
koi
ajnabi
haibat mujhe jhakjhor deti hai
aziyyat
KHun ke
katron mein
yun karwaT badalti hai
ki main TukDon mein baTte ruh ko mahsus karta hun
mere kamre ka
cieling-fan
hansta hai
meri jaanib
lapakta hai
main Dar se
kanp jata hun
simaT kar
baiTh jata hun
kisi kone mein kamre ke
yun lagta hai
kai sadiyon ka lamba fasla tai kar ke main ne subh pai hai
magar
main sochta hun
kab talak aaKHir
main
apne aap ko
KHud se bachaunga
mahz
ek aur nakaami
main ab ke TuT jaunga
badan se chhuT jaunga
Nazm
Be-rozgar
Siraj Faisal Khan