KHyalat-o-ehsas
jo be-saKHta likh diye hain
na jaane wo kab se dil-o-jaan ke andar chhupe the
kisi raaz jaise
qalam-band hone ko bechain the
kai dard uljhe sawalat
jo safhe pe sajne ko betab the
wo sab
qalam se mere motiyon ki tarah
ab barasne lage hain
sabhi raqs karne lage hain
meri chashm-e-pur-nam
jo sailab roke hue hai
sitare chamakte hain meri palak par
unhen main raqam kar rahi hun
jo tufan hai maujzan mere andar
wo arman wo KHwab
kai la-shuuri mazamin ban kar
waraq-dar-waraq jagmagane lage hain
sabhi raqs karne lage hain
aur ab
usi jazb-o-ehsas ke zer-e-saya
ghazal phul ban kar mahakti hai
kabhi nazm gati hai wo git
ki jo be-KHayali mein taKHliq ho kar
banati hai rangin paikar
ye bazm-e-suKHan ko sajaane pe mail
KHayalat sab raqs karne lage hain
qalam se mere motiyon ki tarah
ab barasne lage hain
sabhi raqs karne lage hain

Nazm
Be-KHayali mein taKHliq
Sabeela Inam Siddiqui