اردو हिंदी
Be-hunar saaton mein ek sawal | Shaahi Shayari
be-hunar saaton mein ek sawal

Nazm

Be-hunar saaton mein ek sawal

Jameel ur Rahman

;

nuzul-e-kashf ki rah mein safed darwaze
qadam-burida-musafir se puchhte hi rahe

tere safar mein to ujle dinon ki barish thi
teri nigahon mein KHufta dhanak ne karwaT li

bala ki nind mein bhi hath jagte the tere
tamam pahlu masafat ke samne the tere

teri gawahi pe to phul phalne lagte the
tere hi sath wo manzar bhi chalne lagte the

Thahar gae the jo baam-e-zawal par ek din
hanse the khul ke jo ahd-e-kamal par ek din

tere junun pe qayamat guzar gai kaise
riyazaton ki wo rut be-samar gai kaise