kirshn aae ki din bhar bhar ke wahdat ke KHumistan se
sharab-e-marifat ka ruh-parwar jam hindu ko
kirshn aae aur us baatil-ruba maqsad ke sath aae
ki duniya but-parasti ka na de ilzam hindu ko
kirshn aae ki talwaron ki jhankaron mein de jaen
hayat-e-jawidan ka sarmadi inam hindu ko
agar KHauf-e-KHuda dil mein hai phir kyun maut ka Dar ho
kirshn aaen to ab bhi den yahi paigham hindu ko
musalmanon ke dil mein bhi adab hai in haqaeq ka
sikhata hai yahi sachchaiyan islam hindu ko
wo mere jazba-e-dil ki kashish ka lakh munkir ho
mohabbat se main aaKHir kar hi lunga ram hindu ko
Nazm
Mohabbat
Zafar Ali Khan