zindagi ke aise dorahe par aa kar ruk gaya hun
har musafir
kohar-aluda faza mein
har qadam ehsas ki Dori se
anjaane safar ke dhup chhanw napne mein
ek andhe ki tarah
KHali hawaon mein chhaDi lahra raha hai
jis tarah jalte hue mazur patton ka
hawa ke ruKH par uThta hai dhuan
auham ki chadar chaDhane
rasta dikhlane wale
chand suraj aur sitaron ke mazaron par
main dauran-e-safar
kis dhund mein
aage ka rasta DhunDhta hun
rasta baen jo jata hai
samundar par
us raste ke mutawazi kushada raste
ek dusre ko kaTte hain
sare raste
un baDe raston ke upar chal rahe hain
aur
daen samt jo rasta gaya hai
kitna pur-asrar hai
chaDhta utra
jal sa banta hua
chaaron taraf se
ek markaz ki taraf jaane ka
sidha rasta dikhla raha hai
kaisa doraha hai ye
main zindagi ke kaise dorahe par
apna dahina panw uThae
wahime ke kohar mein
apni chhaDi lahra raha hun
Nazm
Wahima
Yaseen Afzal