main ne 
kabhi nahin napa 
baat ki bulandi ko 
danish ne 
mujhe jihaalat se ru-shanas kara diya 
kisi bhi muqable mein 
mera nam nahin hota 
main ek waswase ki tarah 
zindagi ke aas-pas rahta hun 
mujh se bayan hi nahin hoti 
ek dil ki dastan 
main ne 
mohabbat se sikh liya hai 
nakaam kaise hote hain
        Nazm
Bayan
mustafa arbab

