bas yunhi jite raho
kuchh na kaho
subh jab so ke uTho
ghar ke afrad ki ginti kar lo
Tang par Tang rakhe rose ka aKHbar paDho
us jagah qaht gira
jang wahan par barsi
kitne mahfuz ho tum shukr karo
radio khol ke filmon ke nae git suno
ghar se jab niklo to
sham tak ke liye honTon mein tabassum si lo
donon hathon mein musafe bhar lo
munh mein kuchh khokhle be-mani se jumle rakh lo
muKHtalif hathon mein sikkon ki tarah ghiste raho
kuchh na kaho
ujli poshak
samaji izzat
aur kya chahiye jine ke liye
rose mil jati hai pine ke liye
bas yunhi jite raho
kuchh na kaho
Nazm
Bas yunhi jite raho
Nida Fazli