farangi jaridon ke auraq-e-rangin
hansti, lachakti, dhaDakti, lakiren
kaTile badan tegh ki dhaar jaise!
lahu ras mein gundhe hue jism, resham ke ambar jaise!
nigah jin pe phisle, wo shane wo bahen
mudawwar uThanen, munawwar Dhalanen,
har ek naqsh mein zist ki tazgi hai
har ek rang se khaulti aarzuon ki aanch aa rahi hai!
KHutut-e-barahana ke in aainon mein
hasin paikaron ke shaffaf KHake
ki jin ke sajal rup mein khelti hain
wo KHushiyan jo sadiyon se bojhal ke ojhal rahi hain!
unhen phunk degi be-mehr duniya
farangi jaridon ke auraq-e-rangin
ko ek bar hasrat se tak lo
phir un ko hifazat se apne dilon ke muqaffal daraazon mein rakh lo!
Nazm
Barahana
Majeed Amjad