band ho jae meri aankh agar
is dariche ko khula rahne do
ye daricha hai ufuq aaina
is mein raqsan hain jahan ke manzar
is dariche ko khula rahne do
is dariche se ubharti dekhi
chand ki sham
sitaron ki sahar
is dariche ko khula rahne do
is dariche se kiye hain main ne
kai be-chashm nazare
kai be-rah safar
is dariche ko khula rahne do
ye daricha hai meri shauq ka chaak-e-daman
meri badnam nigahen, meri ruswa aankhen
ye daricha hai meri tishna-nazar
band ho jae meri aankh agar
is dariche ko khula rahne do
Nazm
Band ho jae meri aankh agar
Sufi Tabassum