kise KHabar thi
ek musafir mustaqbil zanjir karega aur safar ke sab aadab badal jaenge
kise yaqin tha
waqt ki rau jis din muTThi mein band ho gai sari aankhen sare KHwab badal jaenge
hamein KHabar thi
hamein yaqin tha
tabhi to hum ne toD diya tha rishta-e-shohrat-e-am
tabhi to hum ne chhoD diya tha shahr-e-numud-o-nam
lekin ab mere andar ka kamzor aadmi sham sawere mujhe Darane aa jata hai
nae safar mein kya khoya hai kya paya hai sab samjhane aa jata hai
Nazm
Balance-sheet
Iftikhar Arif