ahd-e-parina mein bhi
zist par tha wahm ka kitna asar
ek âoracle ki talqin man kar
shah-e-augustus ki biwi 'lewiya'
apni angiya ki faza-e-garm mein rakhti thi ek marzi ka anDa roz-o-shab
us ko ye wishwas tha
us ke hone wale bachche aur us chuze ki jins
ek hogi aaKHirash yunhi hua
aashiyan-e-garm-o-shoKH-o-narm se
ek nar nikla to us ki kokh se bhi ek nar paida hua tiberius
aur phir us ittifaqi waqiye ne to zanan-e-rom mein
aam kar di baiza-e-mahram ki tarbiyat ki rasm
Nazm
Baiza-e-mahram
Krishna Mohan