baiTha hai mere samne wo
jaane kisi soch mein paDa hai
achchhi aankhen mili hain us ko
wahshat karna bhi aa gaya hai
bichh jaun main us ke raste mein
phir bhi kya is se faeda hai
hum donon hi ye to jaante hain
wo mere liye nahin bana hai
mere liye us ke hath kafi
us ke liye sara falsafa hai
meri nazron se hai pareshan
KHud apni kashish se hi KHafa hai
sab baat samajh raha hai lekin
gum-sum sa mujh ko dekhta hai
jaise mele mein koi bachcha
apni man se bichhaD gaya hai
us ke sine mein chhup ke roun
mera dil to ye chahta hai
kaisa KHush-rang phul hai wo
jo us ke labon pe khil raha hai
ya rab wo mujhe kabhi na bhule
meri tujh se yahi dua hai
Nazm
BaiTha hai mere samne wo
Fahmida Riaz