اردو हिंदी
Bahra goya | Shaahi Shayari
bahra goya

Nazm

Bahra goya

Parvez Shahidi

;

buland-ahangiyon ne phaD Dale kan ke parde
hun wo mutrib jo KHud apni sada hi sun nahin sakta

hawaen le uDi hain silsile ko mere naghmon ke
main in bikhri hui kaDiyon ko apni chun nahin sakta

ghurur-e-KHush-nawai bojh sa hai meri gardan par
zamana wajd mein hai aur main sar dhun nahin sakta