gulshan-e-alam mein jab tashrif lati hai bahaar
rang-o-bu ke husn kya kya kuchh dikhati hai bahaar
subh ko la kar nasim dil-kusha har shaKH par
taza-tar kis kis tarah ke gul khilati hai bahaar
naunihaalon ki dikha kar dam-ba-dam nashw-o-numa
jism mein ruh-e-rawan kya kya baDhati hai bahaar
bulbulen chahkarti hain shaKH-e-gul par ja-ba-ja
bulbulen kya fil-haqiqat chahchahati hai bahaar
hauz-o-fawwaron ko de kar aabru phir lutf se
kya moattar farsh sabze ka bichhati hai bahaar
jumbish-e-baad-e-saba se ho ke ham-dosh-e-nashat
sath har sabze ke kya kya lahlahati hai bahaar
KHalq ko har lahza apne husn ki rangat dikha
be-takalluf kya hi har dil mein samati hai bahaar
majma-e-KHuban hujum-e-ashiqan aur josh-e-gul
dekh in rangon ko kya kya khilkhilati hai bahaar
gul-ruKHon ki dekh kar gul-baziyan har dam nazir
gul idhar KHandan udhar dhumen machati hai bahaar
Nazm
Bahaar
Nazeer Akbarabadi