baDe naz se aaj ubhra hai suraj
himala ke unche kalas jagmagae
pahaDon ke chashmon ko sona banaya
nae bil nae zor in ko sikhae
libas-e-zari aabshaaron ne paya
nashebi zaminon pe chhinTe uDae
ghane unche unche daraKHton ka manzar
ye hain aaj sab aab-e-zar mein nahae
magar in daraKHton ke sae mein ai dil
hazaron baras ke ye ThiThure se paude
hazaron baras ke ye simTe se paude
ye hain aaj bhi sard behaal be-dam
ye hain aaj bhi apne sar ko jhukae
are o nai shan ke mere suraj
teri aab mein aur bhi tab aae
tere pas aisi bhi koi kiran hai
jo aise daraKHton mein bhi rah pae
jo Thahre huon ko jo simTe huon ko
hararat bhi baKHshe gale bhi lagae
baDe naz se aaj ubhra hai suraj
himala ke unche kalas jagmagae
fazaon mein hone lagi barish-e-zar
koi naznin jaise afshan chhuDae
damakne lage yun KHalaon ke zarre
ki taron ki duniya ko bhi rashk aae
hamare uqabon ne angDaiyan lin
sunahri hawaon mein par phaDphaDae
fuzun-tar hua nashsha-e-kaamrani
tajassus ki aankhon mein Dore se aae
qadam chumne barq-o-baad aab-o-atish
ba-sad-shauq dauDe ba-sad-ijz aae
magar barq o aatish ke sae mein ai dil
ye sadiyon ke KHud-rafta nashad tair
ye sadiyon ke par-basta barbaad tair
ye hain aaj bhi muzmahil dil-girafta
ye hain aaj bhi apne sar ko chhupae
are o nai shan ke mere suraj
teri aab mein aur bhi tab aae
tere pas aisi bhi koi kiran hai
unhen panja-e-tez se jo bachae
inhen jo nae baal-o-par aa ke baKHshe
inhen jo nae sir se uDna sikhae
Nazm
BaDe naz se aaj ubhra hai suraj
Moin Ahsan Jazbi