ai bachpane ki duniya to yaad aa rahi hai
dil se meri sada-e-fariyaad aa rahi hai
rahat suna rahi thi afsana saltanat ka
thi man ki god mujh ko kashana saltanat ka
wo ghar ki dur jis se thi gardish-e-zamana
aazadiyon ka meri aabaad aashiyana
phirti hai ab nazar mein taswir us makan ki
arsh-e-barin se behtar thi sarzamin jahan ki
nazuk-mizaj ban kar wo ruThna machalna
sehn-e-makan mein din bhar wo kudna-uchhalna
allah-re wo taKHayyul allah-re saz-o-saman
duniya ki saltanat thi is zindagi pe qurban
us ahd-e-afyat mein ek bar phir sula de
ai mere ahd-e-mazi phir ek jhalak dikha de
bagh-e-jahan mein rakkha un shadiyon ne mujh ko
rahat ki loriyan din aazadiyon ne mujh ko
be-fikr zindagi thi KHud hosh mujh ko kab tha
ek kaif-e-be-KHudi tha mast-e-mai-e-tarab tha
ai umr-e-rafta tu ne ki mujh se be-walfai
aa ja palaT ke dam bhar main hun tera fidai
dil mein shararten thin kaise ghazab ki pinhan
rag rag mein bijliyan thin josh-e-tarab ki pinhan
hun apni zindagi ka andaza karne wala
jannat se la ke tu ne dozaKH mein mujh ko Dala
Nazm
Bachpane ki yaad
Aziz Lakhnavi