اردو हिंदी
Baat nahin ho sakti | Shaahi Shayari
baat nahin ho sakti

Nazm

Baat nahin ho sakti

Mohammad Anvar Khalid

;

wo jo kahte hain kisi TeDh bina koi baat nahin ho sakti
so aan ki aan mein Dor palaT kar mahi-gir pe aan paDi

unhi mausam mein koi tum sa dariya par se aaya tha
aur sari basti roi thi

us din basti mein rone walon ka din tha aur tum ne kaha tha
ye log samundar math kar pite the ab rote hain

aur tum ne kaha tha
un logon se to sahil par kho jaane wale bachche achchhe hain

jo ret pe khelte khel ko pani kar dete hain
so TeDh mein tum ne baat kahi

un logon se to sahil par kho jaane wale bachche achchhe hain
wo jo kahte hain har baat mein koi TeDh si ho to behtar hai

un logon se sar-e-sham milo to baat nahin ho sakti
aur din mein un ke sath kai dorahe chalte hain

aur raat mein un ke ghar bas nind ka sauda ho sakta hai
aur nind kaddu ki bel hai sukh gai to sahil par paighambar bacha rah jata hai

so TeDh mein tum ne baat kahi
ab paighambar se baat nahin ho sakti

wo jo kahte hain kisi TeDh bina koi baat nahin ho sakti
so aan ki aan mein Dor palaT kar mahi-gir par aan paDi