tu aafaq se qatra qatra girti hai
sannaTe ke zine se
is dharti ke sine mein
tu tariKH ke aiwanon mein dar aati hai
aur baha le jati hai
jazbon aur imanon ko
maile dastar-KHwanon ko
tu jab banjar dharti ke mathe ko bosa deti hai
kitni soi aankhen karwaT leti hain
tu aati hai
aur teri aamad ke nam se
pyase bartan bhar jate hain
tere hath baDhe aate hain
gadli ninden le jate hain
teri lambi poron se
dilon mein girhen khul jati hain
kali raaten dhul jati hain
tu aati hai
pagal aawazon ka kichaD
saDkon par uDne lagta hai
tu aati hai
aur uDa le jati hai
KHamoshi ke KHemon ko
aur honTon ki shaKHon par
moti Dolne lagte hain
panchhi bolne lagte hain
tu jab band kiwaDon mein aur dilon par dastak deti hai
sari baaten kah jaane ko ji karta hai
tere sath hi
bah jaane ko ji karta hai
Nazm
Barish
Abrar Ahmad