wapsi par
raat ke kale siyah jhule mein leTe
us ne socha tha
ki wo bhi
dusron ki tarah
hansti gungunati zindagi se
uns ki dahliz par ja kar milega
puchhega us se
kiran suraj ki kaise
chumti hai phul ko
aur jagmaga deti hai miTTi dhul ko
ThanDi hawa kya hai
ghaTa kya hai
parinde chahchahate kis ada se hain
magar kuchh bhi hua aisa nahin
wo aaj bhi
viran khiDki se uDa kar
KHwab ki sab rakh
jalti dhup ko sar par sameTe
andhe bahre gunge
ehsasat se mamlu
safar par gamzan
phir ho gaya hai
aur us ki soch
bilkul banjh si lagne lagi hai
Nazm
Banjh si lagne lagi hai
Jafar Sahni