اردو हिंदी
Baad-e-KHizan ko kya parwa hai | Shaahi Shayari
baad-e-KHizan ko kya parwa hai

Nazm

Baad-e-KHizan ko kya parwa hai

Satyapal Anand

;

october hai
kohre ki ek maili chadar tani hui hai

apne ghar mein baiTha main khiDki se bahar dekh raha hun
bahar sare peD

darida pile yarqani patton ke
maT-maile malbus mein lipTe nisf barahna

baad-e-KHizan se ulajh rahe hain
harf harf patton ka abjad

patjhaD ki be-rahm hawa ko saunp rahe hain
main bhi alif se chalta chalta

ab ya-e-maruf pe panw Tika kar baiTha
ek qadam aage majhul ko dekh raha hun

nange bachche dimak chaTe
umr rasida peD bhi apna abjad kho kar

barf ka bojh nahin sah pate gir jate hain
october se chal kar main bhi

apne abjad ki qutbini ye ki yaKH-basta chaukhaT par
junhi shikasta panw rakhunga gir jaunga

baad-e-KHizan ko kya parwa hai
us ko to peDon ko girana hi aata hai