maTiyale maTiyale baadal ghum rahe hain maidanon ke phailaw par
dariya ki diwani maujen humak humak kar hans deti hain ek naw par
samne ude se parbat ki abr-aluda choTi par hai ek shiwala
jis ke aks ki tabani se phail raha hai chaaron jaanib ek ujala
jhilmil karti ek mashal se mehrabon ke gahre sae raqsida hain
har su pariyan nach rahi hain jin ke aariz raKHshan nazren duzdida hain
ambar aur loban ki lahren doshiza ki zulfon pe aaise bal khati hain
chandi ke naqus ki tanen dhundle dhundle nazzaron mein ghul jati hain
hath baDhae sar nihuuDae patle sayon ka ek jhurmuT ghum raha hai
puja ki lazzat mein kho kar mandir ke tabinda zine chum raha hai
ek bahut patli pagDanDi sahil-e-dariya se mandir tak kanp rahi hai
naw chalane wali laDki chappu ko mathe se lagae hanp rahi hai
diwani ko kaun batae us mandir ki dhun mein sab thak-haar gae hain
sae ban ke ghum rahe hain jo be-bak chalane wale par gae hain
wo jab naw se utregi maTiyale maTiyale baadal ghir aaenge
maidanon par kohsaron par dariya par naw par sab par chha jaenge
awwal to pagDanDi kho kar gir jaegi ghaaron ghaaron mein bechaari
bach nikli to ho jaegi us ke nazuk dil par ek haibat si tari
hosh mein aai to rag rag par ek nasha sa be-hoshi ka chhaya hoga
jism ke badle us mandir mein dhundla ek lachkila saya hoga
Nazm
Azali masarraton ki azali manzil
Ahmad Nadeem Qasmi