ufuq-ta-ufuq ye dhundalke ka aalam
ye had-e-nazar tak
nam-alud si ret ka narm qalin ki jis par
samundar ki chanchal jawan beTiyon ne
kisi naqsh-e-pa ko bhi na chhoDa
faza apne daman mein bojhal KHamoshi sameTe hai lekin
machalti hui mast lahron ke honTon pe naghma hai raqsan
ye naghma suna tha mujhe yaad aata nahin kab
magar han
bas ehsas hai is qadar qarna-ha qarn pahle
ki ginna bhi chahe to koi jinhen gin na pae
bhala reg-e-sahil ke phaile hue nanhe zarron ko koi kahan tak gine
machalti hui mast lahron ko sahil se chhuTne ka gham hi nahin hai
wida-e-sukun jaise koi sitam hi nahin hai
jise qarna-ha-qarn pahle bhi main ne suna tha
jise log suraj ke bujhne talak yunhi sunte rahenge
Nazm
Azal-ta-abad
Bashar Nawaz