dil ki diwaron se
udasi ko khurach kar
ek nazm mein ikaTTha karna
auraton ka pasandida khel nahin
auraton ko wo khel pasand nahin
jin ke aaKHir mein taliyan na bajai ja saken
auraton ko pasand nahin
log jo apna dil
TukDe kar ke phenk rahe hote hain
jo zindagi ki kitab mein
hashiyon par darj hote hain
aur footnote se upar jhankne ki
koshish karte rahte hain
jo kisi kaghaz ke TukDe par
tahrir kar ke phenk dete hain
main tumhaare baghair nahin rah sakta
nahin jaanti hain aurten
koi sada si satar
kaghaz par kitni darashti se likhi ja sakti hai
aaram se paDh jati hain wo
nahin jaanti hain aurten
khurdure lafzon se kaTi hui zindagi
tez aanch par rakhe hue dil
aankhon mein
bahut gahra dekhti hui aankhen
aur ek khel
dil ki diwaron se
udasi ko khurach kar
ek nazm mein ikaTTha karne ka

Nazm
Aurten nahin jaantin
Syed Kashif Raza