ek hasin si aurat
apne narm chehre ko
muztarib sa rakhti hai
jis ke fiqre fiqre mein
gunjti hai jhillahaT
apne ghar ke aangan mein
jab Tahalne aati hai
dur se agar koi
dekh le zara us ko
ya koi guzar jae
us ke ghar ke aage se
nak-bhaun chaDati hai
aur baDbaDati hai
lekin apne kutte ko
pyar se bulati hai
aur laga ke chhati se
chum chum leti hai
us ka muztarib chehra
surKH hota jata hai
aur dekhne wale
apne ghar ki khiDki se
chhup ke dekh lete hain
koi apne kamre se
bahar aa nahin sakta
har paDosi Darta hai
us hasin aurat ki
lamha ki masarrat bhi
us se chhin gai to phir!
Nazm
Aurat kutta aur paDos
Rajinder Manchanda Bani