shahr ki sab se baDi hotel ki chhat par
us ka sar manDla raha tha
aur sahil ke qarib
sard aur mahfuz tah-KHane ki tah ko
pair us ka chhu raha tha
hae wo kitna baDa tha!
us ke daen hath mein jakDe hue the
kar-KHane kampaniyan bazar bank
aur baen hath par us ke dhare the
bar theTar hoTlen jue ke adde qahba-KHane
sar-nigun us ke anguThon ke ishaaron par siyasat ki mashinon ke baTan
aahani shanon par us ke
be-zamin be-ashiyan kale parinde jhulte the
dum nacha kar par phula kar
har ghaDi us ko hawa ka ruKH batate
us ki sanson ki sifarish ki faza mein ji rahe the
naf us ki markaz-e-saql-e-zamana
peT us ka, peT bharne ke wasael ka KHazana
wo saDak se daftaron se aur gharon se
rengte baune uThata
apni kuhni aur kalai par chalata
hasab-e-mansha zaiqe ke taur par un ko chabaata ja raha tha
us ka saya chaar jaanib shahr par chhaya hua tha
hae wo kitna baDa tha!
jaan lekin us qawi-haikal ki us ke gardan-o-sar mein na thi
jaan thi TaKHnon mein us ki
us ke TaKHne
sard aur mahfuz tah-KHane ki tah se thoDa upar
dur tak phaile hue be-ruh sahil par ayan the
aur wahin ek dil-zada bezar 'musa'
shahr ki sab se baDi hotel ki chhat ko chhu na sakne se KHafif
na-balad TaKHnon ki kamzori se dew-e-asr ki
apne imkan aur irade ke asa ki zarb se na-ashna
nim-murda sard be-his ret par soya hua tha
Nazm
Auj-bin-unuq
Abdul Ahad Saaz