apne mazi ke ghane jangal se
kaun niklega! kahan niklega
be-karan raat sitare nabud
chand ubhra hai? kahan ubhra hai?
ek fasana hai tajalli ki numud
kitne gunjaan hain ashjar-e-buland
kitna mauhum hai aadam ka wajud
muzmahil chaal qadam bojhal se
apne mazi ke ghane jangal se
mujh ko sujhi hai nai rah-e-farar
aahan o sang o sharar barsaen
aao ashjar ki buniyaadon par
tesha o tegh-o-tabar barsaen
ek tasalsul se hum apni choTen
be-KHatar bar-e-digar barsaen
zehn par chhae hain kyun baadal se
apne mazi ke ghane jangal se
nau-e-insan ko nikalna hoga
in andheron ko nigalna hoga
Nazm
Aqide
Ahmad Nadeem Qasmi