main apne ghao gin raha hun
dur titliyon ke reshmi paron ke nile pile rang
uD rahe hain har taraf
farishte aasman se utar rahe hain saf-ba-saf
main apne ghao gin raha hun
aansuon ki os mein naha ke bhule-bisre KHwab aa gae
KHun ka dabao aur kam hua
nahif jism par kisi ke naKHunon ke aaDe-tirchhe naqsh
jagmaga uThe
labon pe luknaton ki barf jam gai
tawil hichkiyon ka ek silsila
faza mein hai
lahu ki bu hawa mein hai
Nazm
Apni yaad mein
Shahryar