jab tak chand luTere is dharti ko ghere hain
apni jang rahegi
ahl-e-hawas ne jab tak apne dam bikhere hain
apni jang rahegi
maghrib ke chehre par yaro apne KHun ki lali hai
lekin ab us ke suraj ki naw Dubne wali hai
mashriq ki taqdir mein jab tak gham ke andhere hain
apni jang rahegi
zulm kahin bhi ho hum us ka sar KHam karte jaenge
mahlon mein ab apne lahu ke diye na jalne paenge
kuTiyaon se jab tak subhon ne munh phere hain
apni jang rahegi
jaan liya ai ahl-e-karam tum Toli ho ayyaron ki
dast-e-nigar kyun ban ke rahe ye basti hai KHuddaron ki
Dube hue dukh-dard mein jab tak sanjh sawere hain
apni jang rahegi
Nazm
Apni jang rahegi
Habib Jalib