ye KHwahish to 
hamare shahr ke chiDiya-gharon ke sher bhi shayad nahin karte 
ki sathi sher un ko dekhne aaen 
ticket le kar tamashe ki tarah 
tamasha ban ke ye jine ki majburi 
kahin sharmindagi ki shakl mein munh par chhapi rahti hain un ke 
magar insan? 
us ka bas nahin chalta 
ki sar ke bal khaDe ho kar tawajjoh khinch le sab ki 
wahi insan 
jo KHud ko ashraf-o-afzal samajhta hai 
agar mumkin ho to 
apne tamashe ke ticket 
KHud apne hathon dusron ko bech sakta hai
        Nazm
Apne tamashe ka ticket
Shariq Kaifi

