munh dho kar jab us ne muD kar meri jaanib dekha
mujh ko ye mahsus hua jaise koi bijli chamki hai
ya jangal ke andhere mein jadu ki anguThi damki hai
sabun ki bhini KHushbu se mahak gaya dalan
uf un bhigi bhigi aaankhon mein dil ke arman
motiyon jaise danton mein wo gahri surKH zaban
dekh ke gal pe naKHun ka maddham sa lal nishan
koi bhi hota meri jagah par ho jata hairan
Nazm
Apne ghar mein
Muneer Niyazi