bachpan se
amman se suna karte the
'panchon ungliyan ek barabar nahin hotin'
lekin pichhle kuchh barson se
amman manjhli ungli ko
khinch rahi hain
kahti hain:
'us ko kaise chhoDun
pichhe rah jaegi'
manjhli ungli bhi to aaKHir jaanti hogi
'panchon ungliyan ek barabar nahin hotin'
pichhe rah jaane ka dukh to manjhli ungli sah jaegi
lekin chhoTi ungli?
jise daba kar
amman manjhli ungli khinch rahi hain

Nazm
Apna apna dukh
Shahram Sarmadi