khiDkiyan khol do
zabt ki khiDkiyan khol do
main khilun june ki dopahar mein
december ki shab mein
sabhi mausamon ke kaTahre mein apni nafi ka main isbaat ban kar khilun
KHwahishon
nind ki jangali jhaDiyon
apne hi KHun ki daldalon mein khilun
bhaiyon ki phaTi aastinon mein
bahnon ke sajdon mein
man-bap ke be-zaban dard mein adh-jale cigareton ka tamasha banun
har nai subh ke bas-sTopon pe Thahri hui laDkiyon ki kitabon mein
maslub hone chalun
main apahij dinon ki nadamat banun
khiDkiyan khol do
chhoD do raste
shahr-e-be-KHwab mein ghumne do mujhe
subh se sham tak sham se subh tak
us andhere ki ek ek karan chumne do mujhe
jis mein bezar lamhon ki sazish hui
aur dahalon se nahle baDe ho gae
jis mein be-nur kirnon ki barish hui
bahr-e-shab-zad mein jo safine utare bhanwar ban gae
KHwab mein KHwab ke phul khilne lage khiDkiyan khol do
jagne do mujhe

Nazm
Apahij dinon ki nadamat
Javaid Anwar