dafatan aisa laga
mere sare jism par aankhen hi aankhen hain
mujassam aankh hun main
main ne dekha
us ne thoDi der khiDki par Thahar kar
apni aankhen chamchamain
aur phir jali ko bosa de ke wo
aage baDhi
raste mein kanch ki diwar thi
(aur sach ye hai ki aaKHir waqt tak qaem rahi wo)
phir bhi jaane kis tarah
palken jhapakte hi wo andar aa gai
andar aa kar
us ne sine mein mere KHanjar utara
dekh lo
ab tak ubalta hai mere sine se
chandi ka lahu
Nazm
Andhe aaine ka qatl
Muzaffar Hanfi