ruh bechain hai ek dil ki aziyyat kya hai
dil hi shoala hai to ye soz-e-mohabbat kya hai
wo mujhe bhul gai is ki shikayat kya hai
ranj to ye hai ki ro ro ke bhulaya hoga
wo kahan aur kahan kahish-e-gham, sozish-e-jaan
us ki rangin nazar aur nuqush-e-hirman
us ka ehsas-e-latif aur shikast-e-arman
tana-zan ek zamana nazar aaya hoga
jhuk gai hogi jawan-sal umangon ki jabin
miT gai hogi lalak, Dub gaya hoga yaqin
chha gaya hoga dhuan, ghum gai hogi zamin
apne pahle hi gharaunde ko jo Dhaya hoga
dil ne aise bhi kuchh afsane sunae honge
ashk aankhon ne piye aur na bahae honge
band kamre mein jo KHat mere jalae honge
ek ek harf jabin par ubhar aaya hoga
us ne ghabra ke nazar lakh bachai hogi
miT ke ek naqsh ne sau shakl dikhai hogi
mez se jab meri taswir haTai hogi
har taraf mujh ko taDapta hua paya hoga
be-mahal chheD pe jazbaat ubal aae honge
gham pasheman-e-tabassum mein Dhal aae honge
nam par mere jab aansu nikal aae honge
sar na kandhe se saheli ke uThaya hoga
zulf zid kar ke kisi ne jo haTai hogi
ruThe jalwon pe KHizan aur bhi chhai hogi
barq ashwon ne kai din na girai hogi
rang chehre pe kai roz na aaya hoga
Nazm
Andeshe
Kaifi Azmi